Aisa hi hoon mein

Friday, February 16, 2007

WATAN KI MITTI

Mera kaafi samay se desh wapas lautne ka chal raha tha, jab date final hui to mere 1 dost Nandan kuch is tarah likha:


To watan ki mitti, airport ke bahar bhi mitti,

sadak ke us aur mitti, is aur mitti aur bahut saaree jaghon par beech mein bhi mitti

ye sun kar, pomi (ye ek character hai mera) bola ki

are bhai beech mein mitti nahin hoti, balu hoti hai (poor joke)

to mainey kaha, baa-lu badee hee mitti-lu hoti hai,

naam alag kar denay se kya vichar bhi badal jaayenge

maatra 5 saal bahar rahne se kya mitti aur balu ka farq bhool jaayenge

aakhir paseena (and sometimes khoon as well, gzb connection) isi baalu aur mitti mein bahaya hai humne bahut saal

ab ek baar phir se use dohraayenge

ups ka intezaar hai yahan ki har us khushboo ko

jo har baar sawaan ke baad, tarasti thi aur dhoondti thi apnee nam (because of rains) aankhon se usko

par ab abhodaya hoga ek naye season (just like friends, sex in the city, ups ka bhi season hota hai) ka

jab main, wo aur no 1 honge

ek haath mein leg aur ek mein peg honge (now the poem is really drifting and losing its creative charm)

jamegi raat aur bichhegi cards ki bisaat

tab hum kahenge, khushmadid khushamdid, tashree rakhiye janaab !!

jai hind

ndm-nucklow waale

0 Comments:

Post a Comment

<< Home