Aisa hi hoon mein

Tuesday, August 14, 2007

Movie Review : Chak de India

Director: Shimit Amin
Producer: SRK ka bhai - Aditya Chopra
Cast: SRK and bahut sari ladkiya

Chak De India, release timing bahut shaandar hein, 1 dam bharat ke 60th Independence per, SRK ki saal ki first movie. Bangalore mein hindi movies ke tickets 1st week mein lena bahut fight hein, Bangalore ko 6 languages ko support karna hota hein, number of multiplexes kam hein, aur apne ko bahut mushkil se 1 theatre mein morning show ki ticket mile.

Movie dekhne gaye, poori family mein bahut excitement tha, 1 to bahut dino baad theater per movie dekhne ja rahe the doosra SRK ki movie, aur teesra hockey ki movie. 1 ne poocha, bhai ye hockey mein itna interest kabse, hamne kaha bhai, bahut dino se bharat ko Hockey mein jeette hue nahi dekha hein, this will be the best platform to watch Indian hockey team winning that too against Australia.

To bhai kahani is prakar hein ki apne SRK bole to Kabir Khan Indian Team ke jane mane player, lekin unki 1 galti ki wajah se Bharat ko Pakistan se haar ka samna karna padta hein, aur bhala ho news channel walo ko, Kabir Khan ko gaddar karar de diya jata hein. 7 saal baad, kuch maara mari karke Kabir Khan ko Indian Women Hockey Team ka Coach bana diya jata hein jo ki world cup mein participate karne wali hein. 1 sawal uthta hein, bhai women team hi kyon, men team team kyon nahi, is sawal ka jawab to bhai SRK hi denge.

Theek hein sahab, team assemble ho jati hein, koi punjab se, koi Aasam se, koi Haryana se, bole to poora hindustan, sabhi 16 ladkiyo ki entry shaandar hein. Kuch players purani hein, kuch nai hein, kuch ko communication problem hein, kuch ko apni state captain ka guroor hein. Lekin Kabir khan sabko 1 baat bol deta hein ki sabhi log India ke liye khel rahe ho, state ke liye nahi, aur team ka Goonda mein hoon. Training shuru ho jati hein, ladkiyo ki thodi bahut politics, wo apna Kabir khan achhe se settle kar dete hein, kyonki Kabir Khan mein 1 SRK chupa hua hein. 1 intersting match ladko ki team ke saath bhi hota hein jo ki women team ka world cup mein jana final kar deta hein. World cup ki shuruat Australia ke saath haar ke saath hoti hein - ye to hamara trademark hein, har tournament ki shuraat haar se hi shuru karte hein. Aur is haar ke baad Team India peeche mud kar nahi dekhti. Coach ne team ko khelna hi nahi sikhaya, aggressivness bhi sikhai, koi 1 maarta hein to tum 2 maro, aur is chakkar mein pit gayi Argentina. Finally, final mein Australia ko dhone ka maja hi kuch aur hein, koi bhi game ho ya movie ho, Australia ko dhona bahut shaandar hota hein.

Movie mein kuch achhe gane hein aur josh dilate hein, lekin background mein hi bajte hein. SRK ko koi heroine assign nahi kari hein, achha hein, nahi to thoda focus divert ho jata. Ladkiya sari nai hein aur bahut achha kaam kiya hein, sabhi ladkiya sahi mein lagti hein ki kis state se aayi hein. Waise 1-2 ladkiya kisi serial ya movie mein aa chuki hein. Kuch dialogs wo bhi haryanwi language mein mast hein e.g. "Aab bhes ki pooch padne se ka milega", "Chal dikha de us launde ko".

Kisi ne bola ki bhai Amitji bachhanji ko coach banana tha, movie mein aur dam aata, hamne kaha nahi bhai, aajkal Amitji bachhan ji ke saath young ladkiya ka movie mein aana theek nahi hein, SRK hi hein jo fit hein, aur 1 akele Amitji se kya kya karwayoge.

Movie bahut shaandar hein, aur shayad is saal ki pehli shaandar hindi movie hein. Pata nahi is movie se Indian Hockey specially Indian woman hockey ko kitna benefit hoga, lekin SRK ko to bahut hoga.

Bole to Chak De India, and now waiting for "Ramu ki Aag".

0 Comments:

Post a Comment

<< Home