Aisa hi hoon mein

Friday, July 29, 2005

KBC 2 Video Clips

http://kbc2.indya.com/kbc2/videoclips.html

Monday, July 18, 2005

Movie Review: Meine Pyar Kyon Kiya

Director: David Dhawan
Cast: Salman, Sush, Katrina, Arshad Warsi, Rajpal Yadav, Bina Kak

Bhai bahut dino baad David Dhawan ki koi comedy aayi. Sallu-Ash ke tapes se Desh/Videsh mein mahaul thoda sa garmaya hua hein, lekin pata nahi aisi khabrein tabhi kyon aati hein jab kisi actor/actress ki nai movie release hone wali ho.

David Dhawan hamesha se hero ko 2 ladkiyon ke beech mein fasa kar nikal lete hein, aur ban jati hein 1 situational comedy. "Haddiyon ka doctor" Sallu ki model girlfriend Sallu ki wife se milna chahti hein, fir uske bachho se, fir uske boyfriend se, fir uski maa se, aur is chakkar mein fas gayi bechari nurse Naina. Sallu ki maa thappad pehle aur baat baad mein karti hein, lekin Naina ko dekhkar wo kya poora Punjab Haryana bhangra karne lagata hein aur divorce cancel.

Yaar aisa kyon ki bhangra Punjab / Haryana kare aur jab lutna ho to UP /
Bihar aage kar do.


Katrina ka padosi "Pyare" (Sohail Khan), Pyare jo sabki mare, Pyare jo struggling actor hein, Pyare jo hamesha Katrina ko suicide karnse se bachata hein, Pyare jo Katrina ko pyar karta hein, Pyare jo.... baki ka Pyare movie mein.

Reh gaye Arshad Warsi aur Rajpal Yadav to ye dono ka filler ke liye hein na, dono hi Naina ke diwane hein aur jab-tab handiyon ke doctor ke paas aa jate hein.

Sush to bhai comedy + maturity mein shaandar ho gayi hein, Katrina ka future Sonali Bendre jaisa lag raha hein, 3-4 movies ke baad wo bhi meaning ful role maangne lagegi. Sohail khan to apni banayi movie mein hi aata hein.

Gane bhi theek hi hein, aur is baar ki tarah isme bhi movie end mein gana nahi hein.

Overall movie sahi comedy ban gayi hein, lekin Govinda ki timing kaafi khalti hein, David Dhawan ki har movie ki tarah 2nd half kafi entertaining hein aur fast paced hein.


Disclaimer: Kripya is review ko padkar movie dekhne na dekhne ka aadhar na banaye. Movie jaisei bhi lage, apan uski koi jimmedari nahilenge. Aapka koi bhi statement hame ya hamre keyboard ya hamari prernako offensive feel kara sakta hein. Aur kripya comments is blog perchode.

Sunday, July 03, 2005

Movie Review : Sarkar

Directed by RGV AKA Ramu
Cast: Amit ji bachhan ji, Aby babby and etc.

"D" dekh kar aisa laga ki RGV ko bhai logo ki movie ke alawa aur kuch nahi soojhta, aur meine RGV ko bahut galiya di. Lekin "D" RGV ne direct nahi ki thi, wo to Sarkar mein busy the.

Sarkar God Father ke upper hein, ye mein nahi kehta, ye movie ke shuru mein likha hua hein. Sarkar ka character Bala Saheb ke jaisa hein, ye mein nahi kehta, news papers wale kehte hein. 1 mahine ke difference mein Bachhan duo ki doosri movie hein, ye akela mein nahi keh raha, sabhi keh rahe hein.

Amitji bachhan ji bahut kaam kar rahe hein aajkal, aur kaam hi nahi shaandar kaam kar rahe hein aajkal (biased typing), aur Aby Baby, wo to Refugee mein hi pata lag gaya tha ki lambi race ka ghoda hein, daude hi ja raha hein, daude hi ja raha hein.

Godfather ke upper Firoz Khan ne "Dharmatma" banai thi aur kafi sare scenes copied the, lekin bahut shaandar banai thi. Abhi RGV ne banai hein, theme wahi hein, lekin screenplay different hein. Dharmatma mein Dream Girl Hema ji ki jagah khoobsurat Katrina Kaif. Aab poocho ki Rekha ka role kisne kiya hein, to wo Tanisha ne kiya hein, ye poocho ki Tanisha kaun hein, are bhai Tanuja auntie ki doosri beti (Kajol ki sister ka naam dhoondne ke liye mujhe googliyana pada).

Movie ki summary is prakar hein ki bahut hi intense hein, poore time baandh kar rakhti hein. Kuch scene bahut hi achhe hein, bilkul aisa stunning scene jaisa Satya mein Bhiku Matre ke murder wala scene tha.


2-3 side characters achhe lage, jaise ki friendly nature "Silver Mani" : Style south ka lekin operation norh type. Doosra character "Chander" lekin Chander ke saath thodi naainsafi hui, uska footage kam kar diya 2nd half mein.

Picture ka end dekh kar mehsoos hua ki Amitji bachhan ji wakai mein Aby Baby ko apni virasat de rahe hein(mein bachhan duo ke pyar mein thoda bhawuk ho gaya hoon).

Aur haan, gano ki to mein baat karna hi bhool gaya, actually wo RGV bhi bhool gaya, yani ki KOI GANA NAHI HEIN, sirf thoda background mein chalta rehta hein. Aur sahi bataoo to, aajkal ki movies ki tarah end mein bhi nahi, mein 5 minute isi aas mein theatre mein betha bhi raha.


Disclaimer: Kripya is review ko padkar movie dekhne na dekhne kaaadhar na banaye. Movie jaisei bhi lage, apan uski koi jimmedari nahilenge. Aapka koi bhi statement hame ya hamre keyboard ya hamari prernako offensive feel kara sakta hein. Aur kripya comments is blog perchode.