Aisa hi hoon mein

Sunday, December 02, 2007

Hamari doosri Mysore Yatra

June ka achha mausam tha aur hamara bhateeja Ayush Ghaziabad se aaya hua tha, kahi ghoomne jane ka man tha aur din tha 1. To socha chalo bachhe ko Mysore hi ghooma do. Nai Car ki long drive bhi test karni thi, to 1 Sunday subah nikle Mysore ke liye. Is baar agenda mein tha Tipu Sultan ka Srirangampatnam, Mysore palace aur Brindavan garden. Whitefield se Mysore Road pakadne mein 1.5 ghanta lag gaya, aur 2 ghante mein ham pahuche Srirangampatnam.


Waha per 1 guide ne hamko lapet liya aur bola ki bahut kuch dikhaoonga, hamare paas samay tha kam, hamne kaha 2 jagah hi dikha do।

Pehle usne hamko dikhaya Tipu ki jail, aur uske baad dekha Tipu Sultan ka "Mrityu Sthal", raaste mein aage chale to guide bola, wo dekho Tipu ka "Lal Mahal"। hamne kaha ki bhai kaha hein, wo bola ki ye jo toota huan khandar hein wahi "Lal Mahal" hein, hmmmmmm। Hamne kya aab kya dekhe, wo bola ki chalo Tipu ki kabr per। Waha pahuche to wo "Dargah" type thi,

Waha se nikle aur aadha ghante mein pahuche Mysore Palace. Baccho ka man tha is baar Horse ride ka, to bachho ko karai "Ghud-Sawari" aur fir dekha 1 baar aur Mysore Palace. Mysore Palace andar se bhi bahut sundar hein, pata nahi kyun andar ki pictures lena allowed nahi hein. Ayush ko bhi Palace bahut bhaya.
Waha se fir nikle Brindavan garden ke liye, jo ki palace se kareeb 20 KMS. hein, raasta pata nahi tha, logo se pooch pooch kar road pakdi. Raste mein Brindaban garden ke sign boards ki jagah KSR dam ke board the, ham jisse se bhi raasta poochte, wo KSR dam wala hi raasta bata deta. Brindaban Garden pahuch kar gyan hua ki garden KSR dam per hi bana hua hein. Brindaban garden pahuchte hue raat ho chuki thi aur kaafi rush tha. Cauvery river vivad ki wajah se Brindaban Garden 3 mahine band tha, isiliye shayad bahut rush tha. Suna tha ki Brindaban Garden raat mein bahut sundar lagta hein, aur musical fountains bhi hein, to samay hamare liye 1 dam perfect tha.

Ticket lekar pahuch gaye ander, musical fountain ka pata kiya to janta boli ki bas chalte raho aur sabse aakhir mein wahi milega. Ham chalte rahe, Cauvery river ke daam ke upper 1 pedestrian bridge bana tha, waha se najara bahut sukhad tha, beech mein 1 fountain aur door colourfool fountains dikh rahe the. Khoob cale, khoob stairs bhi chade, Hare, neele, peele, laal fountains bahut hi shaandar najara de rahe the, fountains dekhte hue kai pictures ke scene yaad aa rahe the, jisme se 1 movie yaad aa rahi thi "Padosan".
Finally pahuche musical fountain, aur fountains thirak rahe the "Dhoom Machale" gane per aur "Kendi PO PO" gane per. Bachho ko bahut maja aaya aur wo bhi naache. Musical fountain show khatm hua aur hamne kaha ki chalo aab wapas chale. Bachho ka man 1 baar aur tha dance dekhne aur karne ka, ham 20 minute aur ruke aur fir se 1 baar Dhoom machaya. Aur wapas nikal liye Bangalore ki taraf. Raaste mein ke 1 midway restaurant padta hein, waha shaandar dosa/idli aur mashoor "Medhu Vada" khaya aur nikal liye ghar ki aur next trip ka agenda banate hue.


1 Comments:

Post a Comment

<< Home